Anuv Jain - HUSN (Official Video)
The eleventh studio recorded single, written, sung and composed by #anuvjain is here!
Music production - Angad Bahra, PUNA
Recorded, Mixed and Mastered - Angad Bahra (Uneven studios)
Dolby Mix - Mukul Jain (Ferris Wheel Studios)
Acoustic Guitars - Harsimran Singh Bhatia
Project Managers: Madhura Rumde, Tanvi Seth
Production House: EO2 EXP
Video Producers - Risheeta and Rishabh Agrawal
Director - Pankhuri Ranjan
Executive Producer - Farzeen Khan
Associate Producer - Ramin Yazeshani
Financial Controller - Karpu Swami
DOP - Leslie D’souza
1st AD - Malhar Wakde
DA - Smera Juneja
2nd AD - Rupali Khandelwal
Lead male actor - Tejas Ravishankar
Lead female actor - Vidushi Kaul
Production Manager -Tanvi Agarwal
Costume Stylist - Ayushi & Rajvee
Hair & Makeup Artist - Sapna
Production Designer - Anish Pandey
Choreographer - Neeraj Lohani
Post Producer - Priti Rai
Associate Post Producer - Rishabh Agarwal
Editor - Nathan Dcosta
Grade Artist - Uday Oswal
HUSN lyrics
Paragraph 1
Dekho Dekho
Kaisi baatein yahan ki
Hain saath par
Hain saath na bhi
Kya itni aasaan hain?
Dekho Dekho
Jaise mere iraaday
Waise kahaan
Tere yahan the
Haan kitni naadan main
Chorus 1
Mere husn ke ilawa
Kabhi dil bhi maang lo na
Haye pal mein
Main pighal jaun haan
Ab aisa na karo
Ke dil judna paye wapis
Teri baaton
Se bikhar jaun haan
Paragraph 2
Mana zamana hai deewana
Isilye tune na jana
Tere liye main
Kaafi hoon
Dekho Dekho
Yeh zamane se thak kar
Atey ho kyun masoom ban kar?
Tere liye main
Kya hi hoon?
Chorus 2
Phir aatey kyun yahan
Karne aankhon mein
Ho baarish?
Ab aye
Toh theher jao na
Aur poocho na zara
Mere din ke bare mein bhi
Bas itne mein
Sambhal jaun haan
Pre – Bridge
Haan ek din
Kabhi koi
Jab bhi padhe
Kahani teri
Lagta mujhe
Mere naam ka
Zikr kahin
Bhi hoga nahin
Bridge
Haan
Main yahin
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Dekho yeh dil ka haal kya
Hothon se hota na bayan
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Kaisa naseeb hai mera
Milke bhi na mujhe mila
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Teri adhuri si wafa
Maangu main maangu aur na
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Paragraph 3
Dekho Dekho
Kaisi kheenchi lakeerein
Chahe bhi dil toh bhi na jeete
Main iss daud mein nahin
Dekho Dekho
Kaisi baatein yahan ki
Baatein yahi dekhoon jahan bhi
Main is daur se nahin